15 March 2010

WAQT NAHI




Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......


Thanks to Dr. Surjit Patheja for this contribution

1 comment:

  1. Is Zindagi sey hain Shekaayte Badi,
    Kya Chahte they Aur Kaa Kar Baithe,
    Jis Raah pe Chal Padi Hai Duniya,
    Us Raah ka Nahi Aant Sahi,

    Marne Kai Baad, Rub se Punche gay...
    Aye Rub tu hee Batta,
    Kya Geene Kai Maiyne they?...
    Yeh Raah Dikhane ka, Kya Tere paas Bhi Waqt Nahi!!!

    ReplyDelete

Entrepreneurs, professionals and entrefessional

I will digress here to explain my analysis of the difference between entreprenuers professionals & entrefessionals.  I don't really...